Youtube par featured channel kese add karte hein

Hello friends aaj ka hamara topic he ki hum kis tarah se apne youtube channel me featured channel add kar sakte hein or iske faayde kya hein or kab hume featured channel ka fayda milta he or kab nahin bas apko kuch step follow karne hein jo me apko is post me batane wala hoon to chaliye doston shuru karte hein.

Youtube par featured channel kese add karte hein
Youtube par featured channel kese add karte hein



Sabse pehle hum jan lete hein ki featured channel add karne ke fayde kya hein to friends iska fayda ye he ki maan lijiye apka koi bada channel he or uske alawa aapke 1 ya 2 naye channel bhi hein to aap apne in naye channels ko apne bade channel par promot kar sakte hein iske alawa aap apne kisi dost ka channel bhi promot kar sakte hein lekin me apko bata doon ki iska fayda aapko tab hi hota he jab dodo channel ek hi topic pe ho jese agar apka channel tech par he to wo channel bhi tech ka hi hona chahiye jisko aap promot karna chahte hein kyonki aapke channel par jo visiter aate hein wo apke tech videos dekhne aate hein ab agar unko apke featured me ek or tech channel nazar aayega to ho sakta he ki wo is channel ko bhi check kar le lekin agar aap yahan koi khana pakane wala ya koi or channel add kar denge to visiter is par dhayan nahin dega to aap samajh gaye honge ki me kya kehna chahta hoon.

Chaliye ab me apko batata hoon ki hum kis tarah se apne youtube par featured channel add kar sakte hein iske liye apko sabse pehle apne youtube channel pe log in karna he uske baad my channel pe click kijye iske baad apko right side me add featured channel ka option nazar aayega aap is par click kijiye iske baad ek choti window open hogi isme pehle number par likha hoga featured channel apko ise aisa hi rehne dena hai or iske neeche wale box me aap us channel ka url pest kar dijiye jisko aap add karna chahte hein or add par clcik kar dijiye uske baad save kar dijiye .

Lijiye dosto ho gaya apka channel add isi tarah se aap jitne chahein channel add kar sakte hein to friends ummeed he ki apko samajh me aa gaya hoga lekin agar aapko ab bhi koi pareshani aaye to aap comment karke mujhse poonch sakte hein to ummeed he ki apko ye jankari pasand aayi hogi agar apko ye post achchi lagi hop or aap aage bhi isi tarah ki post se update rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye thanks for visit.
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon