Blog ko google adsense se approve kese karayen

Hello friends aaj hum baat karenge ki kis tarah se hum apne blog ya website ko google adsense se approve kara sakte hein,doston ab apni website ya blog ko adsense se approve karna bahut hi mushkil ho gaya hai,kyonki google ke niyam bahut hi kathor ho gaye hai hein,agar aap apni website ya blog ko adsense se approve karna chahte hein to apko bahut sari baaton ka dhayan rakhna hoga tabhi aap google se approve le sakte hein ,to friends aaj ki is post me me apko kuch tips doonga jinhein agar aap pori tarh se follow karenge to apki website ya blog adsense se pakka approve ho jayega,to chaliye doston shuru karte hein,yahan me apko kuch points bataunga jinhein apko dhyan me rakhna hai.
Blog ko google adsense se approve kese karayen
Blog ko google adsense se approve kese karayen

Doston apne blog ya website ko adsense se approved karane ke liye sabse pehle humko jis cheez ki zaroorat hoti he wo he custom domain pehle adsense blog ke sub domain yani blogspot.com par aasani se approval de deta tha lekin ab aisa nahin hai.Ab agar aap apne blog ke liye adsense se approval lena chahte hein to sabse pehle apko ek top level domain khareedana hoga jese .com .in .xyz.

Iske baad apko apne blog ki theme aisi rakhna he jo ki user friendly or mobile friendly ho or ekdam simple ho image ka zyzda use apki theme me na ho jaldi open hone wali ho iske alawa jitne tab aap banayein un sab me kam se kam ek post zaroor ho koi bhi tab khali na ho isliye aap utne hi tab banaiye jitne ki apko zaroorat hai.

Iske baad aapko kam se kam 20-25 post likhna he 1000 words ki aaj kal meine kai blogger ko dekha he jo ki 4-5 post likhkar adsense ke liye apply kar dete hein aap aisa na karein warna apko approval nahin milega.Or jo post aap likhein wo apki apni hona chahiye koi copyright content na ho or na hi koi copyright image ka use karein.

Domain khareedne ke baad kam se kam 6 maheene baad adsense ke liye apply karein naye domain pe approval aasani se nahin milta hai apka domain jitna purana hoga aapko approval utni hi aasani se mil jayega.Domain sirf top level hi khareedein koi free domain lagakar adsense ke liye apply na karein.

Har post me kam se kam ek image zaroor lagayein or image copyright free hona chahiye apko bahut sari websites mil jayengi jahan se aap copyright free image download kar sakte hein.

To friends ye thi kuch aisi tips jin par agar aap amal karenge to apko adsense se approval aasani se mil jayega to doston ummeed he ki apko ye jankari pasand aayi hogi to agar apko ye post achchi lage or aap chahte hein ki aap hamari har post se update rahein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.

Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon