Google adsense ke bare me kuch sawal jawab

Hello friends aaj me apko adsense se jude kuch sawalo ke jawab batane ja raha hoon kyonki kafi logo ke dimag me adsense ko lekar kuch sawal hein jina jawab unhein nahin mil pata hai isliye aaj me ye post likh raha hoon is post ko padhne ke baad apke dimag me jitne sawal adsense ke bare me honge unka jawab aapko mil jayega,to chaliye doston shuru karte hein.
Google adsense ke bare me kuch sawal jawab
Google adsense ke bare me kuch sawal jawab

Sawal(1):-Google adsense kya hai or ye kesekaam karta hai
jawab:- google adsense google ki advertise company hai jo hame apne blog website ya youtube channel pe add dikhane ke pese deti hai.

Sawal(2):-Adsense account kese milta hai
jawab:- Adsense account aap blog ya website se bhi le sakte hein or youtube channel se bhi le sakte hein.Agar aap blog ya website se lena chahte hein to aapke blog par 15-20 post hona chahiye achcha content hona chahiye or agar aap youtube se lena chahte hein to kam se kam 10 video upload karne ke baad aap apply kar sakte hein.

Sawal(3):-Adsense ka verification pin kab aata hai
jawab:-Jab apke adsense me 10$ ho jate hein uske baad apko google verification pin bhejta hai.
sawal(4):-Adsense paiment kab deta hai
jawab:- Jab hamare adsense account me 100$ ho jate hein tab hum apna paiment apne bank me transfer kar sakte hein.

Sawal(5):-Adsense account kitne tarah ka hota hai or achcha konsa hai.
jawab:- Adsense account 2 tarah ka hota hai hosted or non hosted inme se nonhosted achcha hota hai,jab hum blog ya youtube channel se adsense ke liye apply karte hein to humko hosted account milta hai lekin agar hum apne blog par top level custom domain lagane ke baad adsense ke liye apply karte hein to humko non hosted account mil jata hai .

Sawal(6):- Hosted or non hosted account me kya farq hai
jawab:- hosted account agar humko blog se mila he to hum sirf blog par hi ad dikha sakte hein or agar youtube se mila he to hum sirf youtube par hi ad dikha sakte hein lekin agar humko non hosted account mil jata he to usi ek account se hum apne sabhi blog ya website par ad dikha sakte hein.

Sawal(7):- Adsense account verify kese karte hein
jawab:- jab hamare adsense me 10$ ho jate hein to adsense hume ek pin bhejta he hamare address par us pin ko humko apne adsense account me submit karna hota hai tab adsense verify hota he lekin agar apko pin na mile to aap 3 baar pin ke liye requat send karein agar fir bhi na mile to adsense me ek option hota he waha aap apna koi bhi documet upload karke bhi adsense verify kara sakte hein.

Sawal(8):- Hum apne naam se kitne adsense account le sakte hein
jawab:- hum apne naam se sirf ek hi adsense account le sakte hein .

To friends ye the adsense se jude kuch besic sawalo ke jawab ummeed he apko ye jankari pasand aayi hogi ,agar apko ye post achchi lagi ho or aap aage bhi isi tarah ki post ke sath jude rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye.thanks for visit.
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon