Adsense account approve karane ke 10 tareeke


Hello friends aaj me apko wo 10 tareeke batane ja raha hoon jinko agar aap follow karte hein to aapko aasani se approvel mil jayega inme se agar aapne ek bhi kami chod di to apko adsense approvel nahi dega kyonki ab adsense approve karana pehle jesa aasan nahin reh gaya hai ab apko pehle se zyada baato ka dhayan rakhna padega oe google ke niyamo ka pooro tarah se palan karna hoga tabhi adsense apko approval dega to chaliye doston shuru karte hein.




Adsense account approve karane ke 10 tareeke
Adsense account approve karane ke 10 tareeke




1.Top level domain
Sabse pehle apko apne blog ke liye ek top level doamain khareedna padega kyonki pehle blogspot.com pe adsense approoval de deta tha lekin ab nahi deta he ab agar apke paas top level domain he to hi apko approval milega isliye sabse pehle aap ek top level domain khareed lijiye jahan se aap chahein or apply karne se pehle ye bhi yaad rakhein ki apka domain 6 maheene purana hona chahiye or apke blog ya website par kam se kam 100 visiter roz aate ho.

2.Blog design
Apki site ka design achcha hona chahiye matlab apka blog user friendly or mobile friendly hona chahiye ek dum simple luck hona chahiye menu bar achche se set hona chahiye or apne jitne bhi menu banaye hein un sab me kam se kam ek post zaroor hona chahiye or aapki theme jaldi open hone wali honi chahiye.

3.Importent pages
Apke blog ya website pe 3 page zaroor hona chahiye pehla about us doosra contect us or teesra privecy policy agar ye teen page apke blog ya website pe apne nahin banaye hein to adsense apko kabhi bhi approval nahin dega isliye agar apke blog pe ye teen page nahin hein to aaj hi bana lijiye.

4.post
Adsense ke liye apply karne se pehle apke blog ya website par kam se kam 15 ya 20 post hona zaroori hai agar aap sirf 5 ya 6 post karne ke baad hi adsense ke liye apply karenge to apko approval nahin milega isliye is baat poora dhayan rakhein or apki har post me kam se kam ek image hona zaroori he lekin yaad rakhein wo image google se ya kahin or se li hui nahin hona chahiye apki apni honi chahiye or haan ye bhi bata du ki apki post me zyada image bhi nahin hona chahiye.

5.Age
Adsense ke liye apply karne se pehle ye dekh lein ki apki age 18+ he ya nahin agar apki age 18 se kam he to aap apne ghar ke kisi mamber ke naam se adsense ke liye apply karein apne naam se nahin kyonki 18 se kam age walo ko adsense approval nahin deta hai.

6.Quality content
Iska matlab ye he ki aap jo bhi post likhein wo kahin se copy ki hui nahin hona chahiye apki apni honi chahiye agar aap kahin se copy karke apni post me pest karte hein to ye copyright content mana jayega or agar apki ek post me bhi koi copyright content milta he to adsense apko approval nahin dega isliye hamesha yaad rakhein ki aap jo bhi likhein wo apka apna content hona chahiye.

7.Other Ad network
Agar apne ksi or ad network ke ads apne blog ya website par laga rakhe hein to adsense ke liye apply karne se pehle aap unko remoove kar dijiye kyonki agar apke blog ya website par kisi or ad network ke ads paye gaye to bhi adsense apko approval nahin dega.

8.Traffic and languages
Apki website ya blog par jo bhi traffic aata he wo apka kahin se khareeda hua nahin hona chahiye agar aap kahin se pese dekar traffic late hein to ye google ki policy ke khilaf he aisa karne par adsense apko approval nahin dega or iske alawa apki jo post language he wo adsense ki policy me hona chahiye adsense jis jis language ko support karta he aap sirf usi ka use karein.

9.Site ownership
Iska matlab ye he ki apki website ya blog google search console me verify hona zaroori he isle agar apne abhi tak apne blog ya website ko google search console me verify nahin kiya he to jaldi se kar lein usi ke baad adsense ke liye apply karein.

10.User Comment
Iska matlab ye he ki agar koi visiter apki kisi post ko padhta he or use kuch problom aa rahi he to wo agar apse comment karke kuch poonchta he to apko uska jawab dena zaroori he isliye yaad rakhein ki jo post aap likh rahe hein uske bare me apko poori jankari hona chahiye taki aap apne visiter ke sawalo ke jawab dee sakein agar aap comments ka jawab nahin dete hein to bhi adsense aapko approval nahin dega.

Note:- Agar aap blog ka design karna ya setting karna nahin jante hein or aap ek google supported blog banwana chahte hein to aap humse contect kar sakte hein hum apka blog poori tarah se tayyar karke de denge bahut kam price me bas apko post karne ka kaam reh jayega or apko kuch nahin karna hoga poori setting hum karke denge.

To friends ye thi step by step jankari ki kese aap apne adsense account ko approove karwa sakte hein to doston ummed he ki apko ye post pasand aayi hogi agar apko ye jankari achchi lagi ho or aap aage bhi isi tarah ke post ke sath jude rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.







Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon