Hosted or non hosted adsense account kise kehte hein

Hello friends aaj ki is post me hum baat karenge ki hosted or non hosted adsense account me kya farq he or hum kis tarah se hosted adsense account ko non hosted bana sakte hein or iska fayda kya hai.Agar aap adsense se zyzda se zyada kamana chahte hein to apko iski jankari hona bahut hi zaroori he isliye is post ko shuru se lekar aakhir tak poora padhiye,to chaliye doston shuru karte hein

Hosted or non hosted adsense account kise kehte hein
Hosted or non hosted adsense account kise kehte hein


Sabse pehle hum baat karenge hosted adsense account ke bare me,friends agar aap youtube channel ya blogspot se adsense account banate hein to jo account apko milta he wo hosted adsense account hota hosted adsens account me adsense humko kam earning deta he or khud zyada rakhta he or hosted account agar youtube se banaya gaya he to sirf youtube par hi is account se ad dikhaye ja sakte hein kahin or nahin or agar blogspot se banaya gaya he to sirf blogspot par hi ad show kiye ja sakte hein.
Ab baat karte hein non hosted adsense account ki to doston non hosted account apko tab milta he jab aap apne blog ya website par ek top level domain lagane ke baad adsense ke liye apply karte hein or agar apki website approved ho jati he to ab apka adsense account non hosted ban jata he is account se aap apni jitni website ya blogs par ads dikhana chahte hein aasani se dikha sakte hein or kisi or ki website par bhi aap ad dikha sakte hein sab ki earning isi adsense account me aati rahegi.

Chaliye ab baat karte hein ki kis tarah se aap apne hosted account ko non hosted account me badal sakte hein.Maan lijiye ki aapne youtube se adsense sign up kiya he to apke pass ek hosted adsense account hai ab agar aap isko non hosted me badalna chahte hein to sabse pehle aap apne blog ya website ke liye ek top level domain khaid lijiye or apni website par laga lijiye iske baad 30-40 achche content wali post kijiye fir aap apne hosted adsense account me jaiye or wahan par apko my ads ka option milega aap us pe click kijiye iske baad other product pe click kijiye ab yahan pe apni website ka url daal dijiye or submit kar dijiye jab aap submit karenge to apko ek code milega aap is code ko copy kar liye or apne blog ki theme me jakar edit html pe click kijiye or yahan pe head ke neeche is code ko pest kar dijiye or theme ko save kar dijiye ab fir se adsense pe jaiye or done kar dijiye iske baad apki website review ke liye chali jayegi kuch din me apko ek mail mil jayega ki apki website approved hui he ya nahin agar apko approval mil jata he to mubarak ho aapka adsense account non hosted ho chuka he ab aap apni sabhi website or blog par ad show kar sakte hein.

To friends ummeed he ki apko ye jankari pasand aayi hogi ,agar apko ye post achchi lagi ho or aap aage bhi isi tarah ki post ke sath jude rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon