Online paisa kamane ke 5 tareeke

Hello friends aaj ki is post me me apko online earning ke 5 tareeke batane ja raha hoon or me apko bata doon ki me aaj apko jo bhi tareeke yahan batane ja raha hoon wo ekdam legal tareeke honge koi fake ya illagel way me apko nahin bataunga.To friends agar aap bhi online earning karna chahte hein to ye post apke liye khas ho sakti hai ,to chaliye doston shuru karte hein.



Online paisa kamane ke 5 tareeke
Online paisa kamane ke 5 tareeke






                                                                          FIVERR
                                         

1. Sabse pehla tareeka jo me aapko batana chahta hoon wo hai fiverr,friends fiverr ek website he jahan pe aap itni earning kar sakte hein ki aap soch bhi nahin sakte.Ab aap soch rahe honge ki yahan pe karna kya hoga to friends me apko bata doon ki yahan aapko wahi karna he jo aapko achche se aata hai.Agar aapko photoshop ki achchi jankari he to aap yahan par doosron ke liye photo editing kar sakte hein ,iske liye aapko yahan pe geek daalni hoti he ki aap kya karna chahte hein jese ki aap geek me likh sakte hein ki aap 20 image ka background remoove kar ke denge 5$ me.Isi tarah se agar aap video editing achchi kar lete hein to aap yahan doosro ke liye video edit karke de sakte hein jisko apse kaam karwana hoga wo khud aapse contect karega.ye to friends mene apko sirf example diya iske alawa aap jo kuch achche se kar sakte hein wahi kaam aap is website doosron ke liye karke bahut earning kar sakte hein.Iske liye aapko fiverr pe apna ek account creat karna hoga or geek daalni hogi uske baad aap order ka wait karei jab apko ordr aaye to time pe aap work karke de dein or payment le lein.


                                                                          BLOGGING


2. Doosra tareeka he friends blogging,isme bhi aap bahut earning kar sakte hein.Iske liye aap google pe ek free blog bana lijiye agar aapko blog banana nahin aata to isi site pe aap hamari post padh sakte hein jisme mene bataya he ki aap kis tarh se apna khud ka blog bana sakte hein.blog banane ke baad aap achche achche article likhiye jab aap 25 se 30 post kar dein uske baad aap apne blog ke liye ek custom domain khareed lijiye or apne blog pe laga lijiye uske baad adsense ke liye aply kar dijiye jab aapko adsense se approoval mil jaye to aap apne blog pe adsense ke ad dikhaiye is se aapki earning shuru ho jayegi.Agar aap blogging ki jankari chahte hein to isi website pe aap search kijiye apko poori jankari mil jayegi.




                                                                 AFFILATE MARKETING


3. Teesra tareeka he affilate markeing ka ,iske liye apke paas ya to ek facebook page hona chahiye jis par kam se kam 10000 likes ho ya fir apka koi blog ya website jis par achche khase viewers aate hon.Agar apke paas he to fir aap amazon,filipkart wagairah kisi bhi site pe jakar inka affilate progeramme join kar sakte hei yahan pe aapko sabse pehle apna ek affilate account creat karna hoga uske baad yahan se aap product select kar lein jinhein aap prmote karna chahte hein fir un product ka code yahan se aapko lena he or apne blog website ya facebook page pe laga dena he.Ab agar koi apki link pe click karke in websites pe jayega or koi product khareedega to apko bhi commission milega ye 3% se 10% tak ho sakta hai aaj kafi log affilte se judkar kaafi achchi earning kar rahe hein aap bhi kar sakte hein.


                                                                     VIDEO UPLOAD

                                                   

4. Chotha tareeka he video uploading ka agar aap kisi bhi topic pe achche videos bana sakte hein to sabse pehla platform he youtube ,aap youtube pe apna ek channel creat kar ke wahan videos upload kar sakte hein.Lekin me apko ek baat batata chalun ki youtube pe kaam karna ab pehle se bahut mushkil ho gaya hai kyonki ab youtube ke niyam bahut sakht ho chuke hein,ab agar apko youtube pe earning karni he to aapko 1 sal me 1000 subscriber or 40000 ghante ka watchtime ka target poora karna hoga tabhi adsense apke channel pe ad dikhayega tabhi apki earning shuru hogi.Youtube ke baad doosra platform dailymotion he jahan aap apne videos upload karke earning kar sakte hein yahan pe youtube ki tarah itne niyam nahin hein haan youtube se earning thodi kam zaroor he.Iske baad teesra platform he D tube ye steem ka product he yahan bhi aap apne videos ko upload karke earning kar sakte hein.


                                                                            ADMOB

5. Friends hamara paanchwa tareeka hai android apps,ab aap sochenge ki hume to apps banana aata hi nahin he iske liye to coding ki zaroorat hoti he to me apko 2 aisi websites ke bare me batata hoon jahan pe aap bina coding ki jankari bhi apni android app bana sakte hein bas apko apne dimag ka istemal karna he or easy drag and drop karna he sare option apko wahin mil jayenge,pehli website he thunkable.com or doosri website he appybuilder.com yahan aap apne gmail se account bana sakte hein .Iske baad apko google admob pe apna ek account banana hoga or wahan se ad id lekar apni apps me lagani hogi fir is apps ko aap playstore me publish kar sakte hein jis se aapko kaafi achchi earning hona shuru ho jayegi.Admob ki jankari ke liye aap hamari post padh sakte hein isi site par.
To friends ye the wo 5 legal tareeke jin se aap achchi khasi online earning kar sakte hein,to doston agar apko ye jankari achchi lagi ho or aap aage bhi isi tarah ki post ke sath jude rehna chahte hein to abhi hamri is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.



Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon