Gorilla Glass Kya Hota Hai Or Ye Kitna Majboot Hai?

                                                  Gorilla Glass Kya Hai

Hello friends agar kabhi hamare mobile ki screen par kuch hard cheez lag jaye to us par nishan aa jate hein isi liye aaj kal bahut se mobile phone me gorilla glas diya ja raha hai jis se ki us par kam se kam scratch  aayein ya bilkul hi na aayeinlekin kya apko pata he ki ye gorilla glas he kya or ye kese banta hainor kis had tak us par scratch nahi aate to chaliye aaj yahi jan ne ki koshish karte hain.
Gorilla Glass Kya Hota Hai Or Ye Kitna Majboot Hai?
Gorilla Glass Kya Hota Hai Or Ye Kitna Majboot Hai?

Doston gorilla glas ek tarah ka kaanch hi hota he jo ki anti scratch  hota he isliye iska use android phon laptop tablet atm jese upkaradon ki screen ki hifazat ke liye kiya jata hai jis se ki un par kam se kam scratch aayein ye halka or majboot hone ke sath sath tikaau bhi hota hai is glas ko pehli baar 2007 me ek mobile ki screen me lagaya gaya tha.

Lekin gorilla glas ko banane wali companyes b yahi kehti hein ki unka ye glas kuch had tak hi scratch ko rok sakta hai isliye agar apne gorilla glas laga rakha he to iska ye matlab bilkul nahi he ki ab is par scratch aa hi nahi sakta ji haan is par bhi scratch aa sakta he lekin wo kab or kese aata he chaliye jante hein.

                            Kab Aate Hein Scratch Gorilla Glass par?

Dosto hardness ko naapne ka ek pemana hota hai jise hum mohs scale of hardness ke naam se jante hein isme jo cheez jitne hard hoti he use usi hisab se number diye jate hein chaliye neeche dekhte hein ki konsi cheez kitni hard hai.

1. Diamond(heera)
2. Corundum
3. Topaz
4. Quartz
5. Orthoclase feldspar
6. Apatite
7. Fluorite
8. Calcite
9. Gypsum
10. Talc
Yahan aap dekh sakte hein number 1 par sabse hard or number 10 par sabse soft is hisab se sabse soft talk or sabse hard heera hai to is pemane ke hisab se agar kisi cheez ka hardness scal 5 he to agar hum us par 5 se neeche wali cheezo se scratch karenge to us par scratch nahi aayega lekin agar 5 number se zyda walli cheez se karenge to scratch aa jayega.

Isi tarah se gorilla glass ka jo hardness scale he wo he 6.5 or jo cheezein hum apne jeb me rakhte hein jese chaabi coins inka hardness scale 6 se kam hota hai is liye inse gorilla glass par scratch nahin aa sakta kyonki inka hardness scale gorilla glass se kam hailekin agar aap 6.5 se zyada hardness scale wali cheez se gorilla glass par scratch karenge to aasani se scratch aa jayega.

Isi tarah ret ka hardness scale 7-8 ke beech me hota he isliye agar apka mobile ret me gir jata he or aap use haath se saaf karte hein to samajh lijiye ki apke gorilla glass par scratch zaroor aayega.

To doston ummeed he ki aap samajh gaye honge ki gorilla glass kya he or kitna majboot he to friends agar aapko ye post pasand aayi ho or aap aage bhi isi tarah ki post ke liye hmse jude rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel raza technology tips ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.


Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon