Mobile ki screen ko kese record karein

Hello friends aaj ki is post me me apko 3 best screen recorder ke bare me batane wala hoon jinke use se aap aasani se apne android phone ki screen record kar sakte hein or inko use karna bilkul aasan he or ye ekdam free hein inhein aap aasani se play store se download kar sakte hein or in apps ki help se aap screen record ke sath sath or bhi bahut se kaam kar sakte hein to chaliye doston shuru karte hein.
Mobile ki screen ko kese record karein
Mobile ki screen ko kese record karein


1.AZ screen recorder
Apke smart phone ki screen ko record karne ke liye ye ek best app he jiski help se aap bahut aasani ke sath apne phone ki screen record kar sakte hein ye aap apko bilkul free me mil jayega play store me isme aap jesi chahein wesi quality me video record kar sakte hein.Ek baat ka dhyan rakhein ki ye app sirf lollipop 5.0 ya is se ooper ke version me hi support karta hai.

2.Mobizen screen recorder
phone ki screen record karne ke liye ye bhi ek best aap he ise aap game khelte waqt bhi screen record karne ke liye use kar sakte hein.Is app ka use aap apne phone se pc me file transfer karne ke liye bhi kar sakte hein is se aap apne phone ki recording apne pc pe bhi kar sakte hein aap apne ise pc se connect karne ke baad apne phone pe jo bhi recording karenge wo aap ke pc pe record hona shuru ho jayegi.Ye android version 4.2 se opper ke version ko support karta hai.

3.DU screen recorder
Is aap ko bhi aap free me aasani se play store se download kar sakte hein ye bhi ek best aap he screen record karne ke liye isme bhi aap apni pasand ki quality me video record kar sakte hein or game khelte waqt bhi aap is aap se apni screen record kar sakte hein badi hi aasani se.

To friends ye hein 3 best screen record app apke samart phone ke liye ummeed he ki apko ye jankari pasand aayi hogi.Doston agar aapko ye post achchi lagi ho or aap aage bhi isi tarah ki post ke sath bane rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye thanks for visit.

Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon