Copyright content kya hota hai

Hello friends aaj hum baat karenge copyright content ki aaj me apko bataunga ki copyright content me kya kya aata hai or hame apne blog website ya youtube videos me kya kya savdhani rakhni chahiye ,to chaliye doston shuru karte hein.
 Copyright content kya hota hai
 Copyright content kya hota hai

Friendscopyright content ka seedha sa matlab he ki kisi ki koi bhi cheez copy karke use karna isme text image video sab kuch aa jata hai.Aajkal naye blogger ye galti bahut kar rahe hein wo apne blog par post karne ke liye kisi ke bhi blog ya website par jate hein wahan se post copy karte hein or apni post banakar post kar dete hein ise content chori kehte hein aise blog ya website par kabhi bhi copyright aa sakta he or saza bhi ho sakti hai isliye doston aap apne blog ya website par jo bhi post karei wo apki apni hona chahiye kahin se copy karke post na karein warna aap pareshani me aa sakte hein or adsense se bhi aap approval nahin le payenge.

Adhiktar logo ko jab bhi koi image ki zaroorat hoti he apne blog post ya youtube thumbnail ke liye to wo seedhe google par search karte hein or wahan se image download karke apni post ya youtube thumbnail me laga dete hein ye bhi copyright content he doston kyonki aap google par jo image search karte hein or jo google par show hoti hein wo images google ki nahin hoti hein balki kisi website par hoti hein isliye agar aap in image ka use karenge to apko wo website copyright bhej sakti hai.

Isi tarah se agar aap kisi ka video download karke use apne blog website ya youtube channel par upload karte hein to ye bhi copyright content he is pe bhi apko pakke me copyright aayega or apka youtube channel band kiya ja sakta he isliye aap aisa kabhi na karein agar aap ek youtuber hein to aap khud apna video banaiye kisi or ka copy na karein.

To friends ummeed he ki aap samajh gaye honge ki copyright content kise kehte hein to agar aap koi blog website ya youtube channel ke owner hein to yaad rakhiye ki aap jo kuch bhi likhein ya jo bhi image ya video upload karein wo kisi ka churaya hua nahin hona chahiye apka apna hona chahiye warna aap museebat me fas sakte hein.

To friends agar apko ye post pasand aayi ho or aap aage bhi isi tarah ki post ke sath bane rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon