In 3 sites par vodeo upload karke paisa kamayein

Hello friends aaj ki is post me mein apko teen aisi website ke bare me batane wala hoon jahan pe aap apne videos upload karke earning kar sakte hein,lein ek baat apko bata doon friends ki jab bhi aap is sites pe apna channel banayein to topic soch samajh kar rakein kyonki ab competition bahut zyada ho gaya he aap aise topic pe channel creat karein jisme competition kam se kam ho or channel pe apna khud ka banaya hua video hi upload karein aise topic search karein jinpe zyada se zyada views aa sakein topic aisa chune jisme apko poori jankari ho tabhi aap samne wale ko samjha ya sikha payenge,agar aap ko cooking ki achchi knowlage he to aap cooking channel bana lein,tech ki achchi knowlage he to tech channel bana lein matlab jisme apko achchi knowlage he usi topic pe aap videos banyein.
In 3 sites par vodeo upload karke paisa kamayein
In 3 sites par vodeo upload karke paisa kamayein

To friends chaliye shuru karte hein me apko teeno websites ke bare me bata deta hoon jahan pe aap apne videos upload karke achchi earning kar sakte hein bas dil se mehnat kijiye aapko safalta zaroor milegi,kam se kam 6 mahine se 1 saal aapko mehnat karna he fir apki kismat he aap jaldi bhi kaamyab ho sakte hein ye sab apke videos par depend karega ki log apke videos ko kitna pasand karte hein to chaliye friends shuru karte hein.

1. Pehle number pe jiska naam aata he wo he youtube ye google ka product he yahan pe aap apna channel banakar videos upload kar sakte hein lekin friends ab youtube pe earning karna pehle se bahut mushkil ho gaya he kyonki youtube ne ab ye niyam kar diya he ki last 12 month me apke channel pe 1000 subscriber or 4000 ghante ka watch time hona zaroori he tabi youtube apke channel pe ads dikhayega isliye ab youtube pe aapko zyada mehnat karna hogi,iske liye aap videos upload karke apne videos ke links facebook,twitter,google plus jesi social sites pe share karein jis se ke apko zyada se zyada viewers mil sakein.

2. Iske baad doosra number aata he dailymotion ka yahan bhi aap apna channel banakar apne videos upload kar sakte hein,yahan pe youtube ki tarah itne mushkil niyan nahin hein yahan pe aap videos ko upload karke foran monetrize kara sakte hein yahan koi sabscriber ya watch time ki zaroorat nahin he,agar youtube se tulna ki jaye to yahan pe kaam karna apke liye bahut hi aasan hai,bas aap videos baniye or dailymotion pe upload kijiye or hand to hand monetrizetion on kar lijiye apki earning shuru ho jayegi.

3. Friends iske baad teesre number par hai D tube,ye ek naya video uploading platform he yahan bhi aap apne videos upload karke earning kar sakte hein,yahan pe aap ko earning lag tarah se hoti he yahan apke videos par jitne upvote milte hein uske hisab se apki earning hoti hai,jab koi apka video dekhta he or use agar apka video pasand aata he to wo apke video ko vote karta he jese hum facebook wagairah par like karte hein theek usi tarah se ,to doston aap isko bhi try kar sakte hein.

To doston ye thi wo teeno websites jahan pe aap apne videos upload karke achchi khasi earning kar sakte hein ,ummed he ki apko ye jankari pasand aayi hogi ,agar apko ye post pasand aayi ho ho aap aage bhi isi tarah ki post ke sath bane rehna chahte hein to hamri is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye jis se ki hamari aane wali sabhi posts or videos ka update apko aasani se mil sake,thanks for visit.
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon