Best Google Adsense alternative ad network

Hello Friends jab hum koi blog ya website banate hein to hum chahte hein ki us ko google adsense se approove kar ke us par ads dikhayein jis se ki humko kuch online income ho sake lekin jab adsense hamare blog ya website ko approove nahin karta to bahut bura lagta he aisa lagne lagta he ki hamari sari mehnat barbad ho gayi.

Best Google Alternative Ad network
Best Google Alternative Ad network 




Doston google adsense se approoval lena ab bahut hi mushqil ho chuka he google ki policy itni hard ho chuki he ki bahut mushqil se approoval mil pata he ,

meine bhi 2-3 blog banaye lekin adsense se approoval nahin mila uske baad meine search kiya to mujhe pata chala ki google ke alawa bhi bahut sare ads networks hein jo ki hamari websites ya blogs ke liye ads dete hein meine sabke bare me ek ek karke pata kiya ki inme se best kon kon se hein.

Friends agar apke sath bhi kuch aisa hi hua he or aap bhi apni website ya blog ke liye ads network talash rahe hein to aaj me apko kuck aise best ad networks ke bare me bataoonga jinko me khud use kar raha hoon ,



1 ⇒ Media.net
Media.net adsense ka sabse best alternative hai. Jis blogger ya website ke adsense disapproved ho gaye ho unhein sabse pehle media.net ka use karna chahiye. Ye yahoo and Bing ka ad program hai, Ye program aapke blog ke content se related contextual ad show karta hai,media.net ka use karke aap apne blog website ki income ko increase kar sakte hai. Media.net adsense ki tarah hi $100 hone par payment karta hai.

2 ⇒ Chitika

Doosra ad network he Chitika is se aap $10 hone par paypal ke through payment recieve kar sakte hai. Iske ads lagana bahut hi aasan hai. Chitika ke ads aap adsense ads ke sath bhi apne blog par laga sakte hai.


3 ⇒ Bidvertiser

Bidvertiser bhi adsense ka achha alternative hai, Ye sabhi tarah ke ads show karta hai jaise text ads, banner ads and other. Ye $10 hone par paypal, wire, check ke through payment karta hai.aap ise bhi use kar sakte hein.


4 ⇒ Infolinks

Infolinks bhi adsense ka badhiya alternative hai, ye aapke blog ya website ke keyword ke according ads show karta hai. Infolinks line text ads show karta hai, jisse visitor zyada click karte hai aur aapke blog ki income bhi badhti hai.

5 ⇒ Taboola
Taboola ke ads post ke neeche laga kar blog se achhi income kar sakte ho. Ye network aise content ads show karta hai, Jisse aapke blog ya website ki income jald increase hoti hai. ye bhi ek best ad network hai.

6 ⇒ Adnow

Adnow ke ads aap hindi blogs par dekha sakte hai, Adnow ke ads adsense ke sath bhi use kar sakte hai. Adnow ke ads laga kar hindi blogger achhi income kar sakte hai. Ye aapke blog website par native ads show arta hai.jo ki apki post ki tarah hi nazar aate hein isliye inpar click hone ke chance zyada rehte hein.


7. Propeller Ads

Propeller Ads world ke top Ad networks me se ek hai or iske daily 700 million Ads impression aate hai. Ye ek CPM Ad network hai isme aapko adsense ki tarah approval ka wait nahi karna hota aap jaise hi sign up karte ho uske kuch hi der baad iske ads ko apne blog me easily laga sakte ho. Iska minimum payout $100 jise aap apne account me bhi transfer kar sakte ho. Iska use india me bahut se bloggers kar rahe hai isliye iske 33% publisher india se hai.
To doston ummeed he ki apko ye jankari pasan aayi hogi agar apko ye post pasand aayi ho or aap aage bhi aisi hi post ke sath bane rehna chahte hein to hamari is website ko ghanti ke icon pe click karke subscribe kar lein,or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lein,thanks for visit.


Oldest

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon