Kya Adsense incom par gst dena hoga

Kya Adsense incom par gst dena hoga
Kya Adsense incom par gst dena hoga

Hello friends kaise hai aap ummeed hai ki aap sab acche honge dosto aaj hum baat karenge ki kya hame apni AdSense ki kamai par GST dena hoga adhiktar bloggers aur youtubers ke dil mein ye sawal aaj kal chal raha hai isi tarah Jo log jo affiliate marketing  se earning karte hain wo log bhi is baat se kafi pareshan hai to dosto aaj hum isi topic par baat karenge.

Chaliye friends sabse pehle hum baat karte hain ki AdSense income per GST kab dena hai agar aapne AdSense account banate  time payment rupay mein lene ka option chuna tha to aapko 18 percent GST dena hoga lekin agar aapne doller mein payment option choose kiya tha to aapko GST nahi dena hai lekin aapko GST return  bharna hoga bhale hai aapko AdSense earning saal mein ek bar hi hoti ho lekin aapko her 3 mahine mein 1 GST return bharna hoga.

Lekin ek baat main aapko bata doon ki jin ke account mein income doller mein aakar rupay mein convert ho rahi hai unko ghabrane ki zaroorat nahi hai unhe export of services ke rules ke hisab se choot milegi per GST return bharna he hoga choot sirf 2000000 tak hai uske upar AdSense income per 18 percent GST dena hi padega.

Chaliye friends ab baat karte hain ki affiliate marketing me 18 percent GST kab dena hoga affiliate marketing me work karne wale adhiktar blogger India or foreign dono mein affiliate marketing kar rahe hain agar aap sirf foreign country main affiliate marketing Karte hain to GST se bach jayenge lekin  GST return bharna hoga lekin agar Indian companies ke liye affiliate marketing karte hain toh aapko GST registration karwa kar 18 percent GST bhar hi hoga.

To friend ye the youtubers and Bloggers ke dimaag mein chal rahe AdSense se related kuch sawalo ke jawab umeed hai ki aap samajh gaye honge to dosto agar aapko ye post pasand aayi ho aur aap aage bhi isi tarah ki post ke sath juda rehna chahte hain to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye aur hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye taki aap hamari aane wali sabhi post se update reh sakein,thanks for visit.
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon