Youtube video ko search me top par kese layein

Hello friends aaj me apko bataunga ki aap kese apne youtube video ko search me top par la sakte hein aapko pata hi hoga ki youtube google ke baad sabse bada search engine he jis par ki 95+ billion page har maheene dekhe jate heinor is par per minut 40 hours ke videos upload kiye jate hein.Ajj hum youtube par video to upload karte hein lekin hume views nahin mil pate hein isliye aaj is post me hum yahi baat karenge ki hum apne videos ko search me top pe kese la sakte hein,to chaliye doston shuru karte hein.
Youtube video ko search me top par kese layein
Youtube video ko search me top par kese layein

Uploading se pehle apne video ka naam zaroor change kar lein
Friends jab aap koi video upload karein to us se pehle apne video ka naam zaroor change karein jo title aap youtube par apne video ka rakhna chahte hein wo hi naam apne video ka de dein kyonki jab hamara video bankar tayyar hota he to wo .mp4,.avi kuch isi tarah ke naam se hota hai .

Thumbnail bahut zaroori hai
Ji haan friends aap apne video par thubnail zaroor lagaiye kyonki apka thumbnail jitna achcha or khoobsoorat hoga utna hi wo viwers ko apni or kheenchega isliye thumnail aisa banaiye ki jo bhi apke thumbnail ko dekhe wo apke video ko dekhne ke liye majboor ho jaye.

Discription
App jo bhi video upload karte hein to jis subject par he uske bare me aap discription zaroor likhein is se bhi apke viwes badhte hein  discription me aise word likhein jo apke video se related hon taki apke word seo ka kaam karein.

Subtitle
Apne har video me subtitle ka use zaroor karein agar aap hindi me video banate hein tab to apko iska use karna hi chahiye isme aap voice ke sath text ko bhi add kar sakte heinisme apko language translation ka option bhi milta he.

Tagging
Friends youtube video ko top par lane ke liye sabse zaroori jo cheez he wo he tagging isme video se related word apko likhne hote hein yahi word apke video ko search me top par lane ka kaam karte hein iske liye youtube par hume 500 word tak likhne ka option milta he.

Social media
Youtube par video upload karte time humko twitter or google par share ka option bhi milta he hume iska use zaroor karna chahiye taki hamari video par zyada se zyada viewers aa sakein.

To friends ye the kuch tips youtube video ko rank karane ke liye ummeed he ki apko samajh me aa gaya hoga to friends agar apko ye post pasand aayi ho or aap aage bhi aisi hi post ke sath jude rehna chahte hein to abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.
Previous
Next Post »

thanks for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon